Wednesday, July 11, 2012

Kabhi main yaad aaoon to

Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki  raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo  lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar  sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar  kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud
akelay Ro na  paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray  tasawwur say
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh  kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya  chalay jana
Magar bas itna kehna hay
Ke jab bhi dukh ya khushiyon  main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.