suna hoga boht tum ne ….
kaheen aankhon ki rim jhim ka
kaheen palkon ki shabnam ka…
parha hoga boht tum ne ….
kaheen lehjay ki barish ka
kaheen sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kaheen dekhay? kaheen parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi he…
ke men jo lafz likhta hoon …
woh saray lafz rotay hen
ke men jo harf bunta hoon …
woh saray bain kartay hen
mere sang is judaai men …
mere alfaz martay hen
sabhi tareef kartay hen …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi naheen sunta …
mere alfaaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzon men hen shamil …
ussi taseer ke aansoo…
kabhi dekho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.