Sunday, November 14, 2010

Kuchh ishq thaa kuchh majboori thi,

Kuchh ishq thaa kuchh majboori thi,
so main ne jeevan vaar diyaa
main kaysaa zindaa aadmi thaa,
ik shakhs ne mujh ko maar diyaa

ye sajaa sajaayaa ghar saaqi,
merii zaat nahiin meraa haal nahiin
ay kaash kabhi tum jaan sako,
jo us sukh ne aazaar diyaa

main Khuli hui ik sachchaaii,
 mujhe jaan-ne vaale jaante hain
main ne kin logon se nafrat ki,
aur kin logon se pyaar kiyaa

vo ishq bahut mushkil thaa magar,
aasaan na thaa yuun jinaa bhi
us ishq ne zindaa rahne kaa,
mujhe zarf diyaa pindaar diyaa

ik sabz shaakh gulaab ki thi,
ik duniyaa apane pyaar ki thi
vo ek bahaar jo aaii nahiin,
us ke liye sab kuchh haar diyaa

main rotaa hoon aur aasmaan se,
taare Tuut-te dekhtaa hoon
un logon par jin logon ne,
mere logon ko aazaar diyaa

vo yaar hon yaa mahboob mere,
yaa kabhii kabhii milne vaale
ik lazzat sab ke milne main,
vo zakhm diyaa yaa pyaar diyaass

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.