isa nahin k hum ko mohabbat nahin mili,
jaisi chahtey the hum ko woh ulfat nahin mili,
milney ko zindagi man kahin hum safar miley,
par un ki tabiyat se tabiyat nahin mili,
chehron main doosron ke tumhain dhoondte rahe,
surat nahin mili kahin seerat nahin mili,
bohat dair se aaya tu mere paas kiya kahoon,
alfaaz dhoondney ki bhi mohalat nahin mili,
tujh ko gila raha ke tawajja na di tujhey,
lekin hamey khud apni rafaqat nahin mili,
har shakhs zindagi main bohat dair se mila,
koi bhi cheez waqt-e-zaroorat nahin mili,
hum ko to teri adat achi lagi fayyaz,
afsoos k tujh se meri adat nahin mili....
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.