Saturday, October 30, 2010

!*!*!... MOJZA ...!*!*!

!*!*!... MOJZA ...!*!*!
 
 
Muhabbat Aur Khuwahish Mein Kayii Benaam Rishtey Hain
Magar Jo Ghor Se Dekhein
To Donoo Mein Bohat Se Faaslein b Iss Tarah Mojood Hain Jaisy
Samander Aik Hota Hay
Magar Uss k Kinaray Ik Doojay Se SaraSar Ajnabi Aur
Mukhtalif Raston Ko Chootay Hain
So Aisa Hay.....
Samay k Iss Samander Mein
Jahan Har Shay Badaltii Hay
Vohan Hum Tum b Badlay Hain....Badalna Tha
k Rishtey b Hamary Aks Ki Surat
Bohat Ahistagi Se iss Tarah Karwat Badaltey Hain
Basa Aokaat Bistar Par Parri Chadar Pe Silwat Tak Nahi Parrti
Na Aankhon Mein Safar Karty Purany Rung Hi Tabdel Hotay Hain
Na Baaton k Tasalsul Mein Koi Deewar Aati Hay
Bas Itna Hay.....
k Khuwahish Ki Band Mutthi Se Vo Jo Rait Si Pal Pal Phisalti Hay
Ussi k Beech Mein Shayed Vo Jazba b Kahin Hota Hay
Jis Ko Pyaar Kehty Hain
Muhabbat Naam Hay Jis Ka
Kabhi Aisa b Hota Hay
Humein Khud Apney Haathon Se
Phisalti Rait Ki Raizish Ka Andaza Nahi Hota
Magar Vo Girtii Rehti Hay
Kabhi Hum Usko Phir Se Jama Karney Aur Uthaney Ki
Koshish b Karty Hain
Magar Din Raat Ki Sarkash Hawayein
Iss Qadar Mitti Urrati Hain k Kuch b Ho Nahi Pata
Yeh Dil Faryad To Karta Hay Lekin Ro Nahi Pata
To Vo Aansoo
k Jin Ko Iss Phisalti Rait Mein Bikhrii Muhabbat Ko
Dobara Zindagi Dena Tha Aur Shadaab Karna Tha
Nahi Behtay
Vohi Aankhein k Jin Mein Har Gharrii Shammein Si Jalti Thin
Unhi Chehron Pe Hoti Hain Magar Un Mein
Magar Un Mein Muhabbat Aur Talluq Ki Purani Laow Nahi Hoti
Zamana...Un k Ander Se Guzar Kar Khud To Janay Kis Taraf Jata
Kahan Bisraam Karta Hay
Magar Uss k Ghabr-e-Raah Mein Uljhay Rastay
Kayii Chehry Badalty Hain
Muhabbat Karney Walay Shakhs Aur Un Ki Muhabbat b
Badaltey waqt Ki Yalgaar Se Bachney Ki Khatir
Ik Nayii Surat Mein Dhaltay Hain
Wafa...Haray Huye Maidan Se Jo Parcham Uthati Hay
Unhein Lashkar Nahi Milta
So Jaan-e-Jaan Agar Hum Tum
Badaltay Waqt Ki Iss Taiz Aandhi Mein Abhi Tak Aik Hain
Aur Ik Doojay k Liye Be Chain Rehtay Hain
To Shayad Yeh Hamary Bakht Ki Khoobi Hamari KhushNaseebi Hay
k Hum Donoo Guzartey Waqt Ki Sarkash Rawani Mein
Bahey,Bhatkey To Hain Lekin
Hamary Sahilon Ka Rukh Kisi Lamhey Nahi Badla
Yeh Husn-e-Ittefaq Aisa Hay Jo Qismat Se Milta Hay
Bohat Karrwa Sahi Lekin Yehi Sab Se Bara Sach Hay
k Jo Lamha Guzar Jaye
Vo Kitna b Muqaddas,Qeemtii Ya Khubsurat Ho
Kabhi Wapis Nahi Aata
Muhabbat Aur Khuwahish Aur
Un k Darmiyan Phaily Hoye BeNaam Rishtey b
Inhii Cheezon Mein Shamil Hain
Jinhein Yeh Waqt Ka Darya
Hamary Chahney Na Chahney Se Be Niaz-o-Be Khabar Ho Kar
Purani Diary,Pichlay Calenderon Ki Tarah tabdeel Karta Hay
Issay Ik Mojza Kahiye
k Khuwahish k Safar Mein Hum Ne Jitney Morr Katay
Jiss Qadar Rahwar Badlay Hain
Vo Sab Ik Sath Badley Hain
Na Girti Rait Badli Hay Na Apney Hath Badley Hain
Issay Ik Mojza Kahiye
k Hum Tum Saath Chaltay Hain
Issay Ik Mojza Kahiye...!!!

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.